Thursday, May 25, 2017

Jiska maula mai uska maula ali

Hazrat Shuaba Bin Kuhayl رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Abu Tufail رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Suna Ki Abu Sareeha رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  Ya Zayd Bin Arqam رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Mut’alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
مَنْ كُنْتُ مَوْلاَهُ فَعَلِيٌّ مَوْلاَهُ ‎

Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”

References:

(Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg : 398, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)

Is Hadees Ko Beshumar Muhadiseen ne Apni apni kutoob e hadees me alag alag isnaad thode alfazo k badlawa k saath likha magar ye sabne nakl kiya hai agar sirf hawale dene lag jaaye to 50 se zyada hawala diye jaa sakte hai yaha chand hawala mulahiza kare.
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg :44, Hadees : 33)
(Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg : 34, Hadees : 4652)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg : 470, Hadees : 12593)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg :229, Hadees : 348)
(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg :171)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 570, Hadees : 959)
(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg :225, Hadees :20238)
(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg : 602, Hadees : 32072)
(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg :602, Hadees :1354)
(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg :165, Hadees :106)
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg :602, Hadees :32904)

(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol : 04, Pg : 103)
(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg : 169)
(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg : 623)
(Gair Mukallid k Sabse Bade Muhadis Shaykh Albani ne
Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees : 1750)

kul 16 hawale diye hai aur bhi bahot hai magar itna hi kafi hai.
Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Is Hadees K tahet farmate hai
“Maula K bahot maane hai Dost, Madadgaar, Aazad Shuda Gulam, (Gulam Ko Aazad Karne Waala).
Is Hadees Me Baa Maana Khalifa Ya Badshah nahi balki Baa Maana Dost Ya Madadgaar Aur Wakayi Hazrat Sayyidna Aliyul Murtaza Musalmano k Dost Bhi Hai aur Madadgaar Bhi isliye Aapko MAULA ALI Kahte hai.”
(Miratul Manazih Vol : 08 Pg :425 )

To pata chala Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko MAULA humne nahi banaya balki khud Nabi E KARIM ﷺne MAULA kaha hai to ye sawal hamse nahi khud Nabi E KARIM  ﷺ se tumhara hai k kyu Hazrat ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  ko hi MAULA kaha hai.
Tum to Kahte Ho K MAULA bas ALLAH Taala hai banda nahi hosakta kya Nabi ﷺ Khud SHIRK ki taalim denge.
Yaha Nabi E Karim ﷺ ne wajeh kaha Jiska MAI MAULA USKA ALI MAULA ab jo log Nabi ﷺ ko Hee Maula Nahi maan rahe hai bhala wo ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه  ko kaisa maanege.
Pata Chala Maula wo maanega jo Nabi ﷺ ko bhi maane ab tum khud soch lo k tum kaha ho kon ho ? Hum kya tafseera kare ab sab to mirror ki tarah saaf hai bas chahre dekhlo bura lage to chehra saaf karo Aine ko gaali deke koi matlab nai hai .
ALLAH hamari awaam ko inse bachaye aur inko imaan ki daulat de.

0 comments:

Post a Comment