Thursday, May 25, 2017

salat tasbeeh

Abdullah Bin Abbas razi Allaahu anhu se marwi hai ke Rasool Allaah sallallaahu alaihi wasallam ne Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib razi Allaahu anhu se farmaya:
Ae Abbas ! Ae Chacha Jaan! Kya mai aapko Ek hadiya (tohfa) na du? 
Atia ya tohfa na du?
Kya mai aapko Dus baat na sikha du. 
Jab aap in par amal karenge to Allaah Aap ke agle ,peechle, Qadeem wa Jadeed Khata(gunah), Jaan booj kar, chote Bade, Chipi hui aur Zahiri sab Gunaho ko maaf farmadega.
Dus baatein ye hai ke-
Aap Chaar rakatein padhein.
Har Rakat me Aap Surah Fatiha aur Ek Surah padhein. Baad Jab Aap pahli rakat me Qirat Se faarigh hojayein aur Qayam me ho to 15 baar ye Tasbih padhein
Subhanallaahi walhamdulillaahi wala ilaha illallah wallaahu Akbar.
Phir Ruku karein aur Halat Ruku me Dus baar yahi tasbih padhein
Phir Ruku se sar oothaye aur Dus baar yahi tasbih padhein.
Phir Sajda karein aur Sajde me Dus baar yahi padhein.
Phir Sajde se sir oothaye to yahi Dus baar padhein
Phir dusra sajda karein,to usme bhi dus baar padhein.
Phir Sir oothaye to Dus baar padhein.
Har rakat me 75 Tasbihat huein.
Aur Aap chaar rakato me aise hi karein. Agar Himmat ho to har roz padha karein. Agar Har roz na padh sakein to Har haftein me ek baar padhein, agar har hafte me na padh sakein to ek mahine me ek baar padhein. Agar ye na kar sakein to Saal me ek baar padhien. Agar saal me bhi na padh sakein to apni zindagi me ek baar padhlein

[Sunan Abu Daood jild-1 safa-184 kitab al salat hadees no-1105,1297, Jamai Tirmizi jild-1 safa-63 kitab Al salat hadees no-443,479, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-100 kitab Ikamat Al salat hadees no-1387,1386,1376,3177 (ASanad sahi) ]
–>>Salaatut Tas‍beeh Kaa Aasaan Tareekaa a hy :
Step by Step Asan tareka Samjhe :
1. Aaujobil‍laaheminash‍shaitaanirrajim Bismil‍laaheerrahamaanirrahim
Soore faatihaa (al‍ham‍dolil‍laahe rabbil aalameen….Aur koi Surat padne k baad)
Soore ke baad 15 Maratabaa zikr
2. Ruku men 10 Maratabaa (Sub‍haanarabbilaajeem ke baad)
3. (rookua se khade hokar, yaani Halat e Qayam me)
kaadaa men 10 maratabaa (samial‍laaholemanahamedaa rab‍banaalakalaham‍d ke baad)
4. saj‍da men 10 Maratabaa (sub‍haan rabbil aalaa ke baad)
5. (2 saj‍de ke dar‍miyaan, yaani 2no sajda k bich me jise Jalsa kahte hai )
jal‍saa men 10 Maratabaa (Rabbig ferle dua k baad)
6. Doosare saj‍de men 10 Maratabaa (sub‍haana rabbil aalaa ke baad)
7. Dono Sajdo k baad ”Jalsa e Isterahat” ki baithaq me 10 Maratabaa
is Tarah pahalee rakaat men 75 maratabaa,
doosaree rakaat men 75 maratabaa
teesaree rakaat men 75 maratabaa aur
chauthee rakaat men 75 maratabaa tas‍beeha padhen.
is tarah chaar rakaat men kul 300 maratabaa tas‍beeh padhee jaaegee..
–>> Is Hadees ka sanad ka Tehqeeqi Jaiza [Sunan Abu Daood jild-1 safa-184 kitab al salat hadees no-1105,1297, Jamai Tirmizi jild-1 safa-63 kitab Al salat hadees no-443,479, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-100 kitab Ikamat Al salat hadees no-1387,1386,1376,3177 (ASanad sahi) ]
Is Hadees ki Sanad ye hai-
حدثنا عبد الرحمن بن بشر بن الحكم النيسابوري حدثنا موسى بن عبد العزيز حدثنا الحكم بن أبان عن عكرمة عن ابن عباس أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال
Abdullah Ibn Abbas razi Allaahu Anhu Mashoor Jaliluo Qadr Sahabi e Rasool hai.
Ikrama Abu Abdullah(Maulaa Ibn Abbas):-Siqa hai
٤٦٧٣- عكرمة أبو عبد الله مولى ابن عباس أصله بربري ثقة ثبت عالم بالتفسير
(See-Taqrib o Tahzib 4673)
Zubair Ali Zai rahimaullah inhe Sahih ul Hadees qarar dete hai
ALHakam bin Abaan rahimaullah-Siqa hai.
(See-Tahzibul Kamal 2/249,Al Kashif (1/181)
Zubair Ali Zai rahimaullah Inhe Hasanul Hadees qarar dete hai
Moosa bin Abdul Aziz rahimaullah-
Aapko Ibn Moeen, Nasai, Abu Dawood, ibn Shaeen, wagaira ne siqa kaha hai
Zubair Ali zai rahimaullah aapko Hasan ul Hadees kahte hai.
Abdur Rahman bin Bashar bin Al Hakam :-
Ye sahih Al Bukhari wa.Al Muslim wagaira ke raawi hai aur Siqa hai
٣٨١٠- عبد الرحمن ابن بشر ابن الحكم العبدي أبو محمد النيسابوري ثقة
(See: -Taqreeb o Tahzib: 3810)
Zubair Ali Zai rahimaullah kahte hai- “Iski Sanad me koi Inqata,Illat ya Shuzuz nahi hai, (aur tamam raawi siqa hai) ,lehaza ye hadees Hasan hai. “
Salatul Tasbib Waali rawayat Shabi e Rasul Hazrat e Jabir Razi Allaahu Ta’aala anhu se bhi marwi hai.
Uski sanad ye hai-
🍃حدثنا أبو توبة الربيع بن نافع حدثنا محمد بن مهاجر عن عروة بن رويم حدثني الأنصاري أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لجعفر بهذا الحديث
(See-Sunan Abi Dawood:1299)
Hazrat Jabir Razi Allaahu Anhu Sahabi e Rasool hai
Urwa bin Ruwaim :-
Aapko Ibn Moeen, Dahim Ash Shami aur Imam Nasai wagaira ne Siqa kaha hai.
(See: -Tahzibul Kamal, 5/153)
Muhammad bin Muhajir Al Ansari:-
Ye Sahih Muslim ke raawi hai aur Siqa hai
٦٣٣١- محمد ابن مهاجر الأنصاري الشامي أخو عمرو ثقة 
(See-Taqrib :6331)
Abu Taubah Ar Rabih bin Nafe: –
Aap Sahih Bukhari wa Muslim ke raawi aur Siqa Huujjat aur Aabid hai.
١٩٠٢- الربيع ابن نافع أبو توبة الحلبي نزيل طرسوس ثقة حجة عابد
(Taqrib o Tahzib:-1902)
Zubair Ali Zai Rahimaullah Farmate hai:-
Lehaza ye Hadees Sahih hai .
Aur iska matan(Text) Pahli Hadees (Abu Dawood: 1297) ki tarah hai.
Zubair Ali Zai Rahimaullah Salatut Tasbih Waali rawayat ko SAHIH LIGHAIRIHI qarar dete hai
Aur Likhte hai: –
Is Hadees ko in Imamo ne Sahih ya Hasan qarar diya hai-
Shaikul Islam Abdullah Bin Mubarak
Abu Dawood
Imam Al Aajuri
Khatib Baghdadi rahimaullah
Abu Sa’d Samaa’ni rahimaullaah
Abu Musaa Al Madini rahimaullah
Hafiz A’laayi rahimaullah
Hafiz Al Bulqaini rahimaullaah
Hafiz Ibn Nasiruddin Al Damishqi rahimaullah
Inhone bhi Maqbool qarar diya hai-
Imam Ibn Salah rahimaullah
Imam Ibn Munda rahimaullah
Hafiz Al Munzari rahimaullah
—————————–
Dusri baat Salatut Tasbeeh hadees ko “Sahii” Kehane wale Muhaddaseen A hy
1. Abu Dawood,
2.Ibne Hajr Asqlani (Anukat vol.2 pg.848-850
3. Al-Aajari,
4. As-Sum’aani,
5. al-Madini,
6. al-Mundthiri,
7. Abul-Hasan al-Mundthiri,
8. Ibn As-Salaah,
9. Ad-Dailami,
10. Al-Haakim,
11. Al-A’laali,
12. Az-Zurkashi,
13. Al-Muhaamili,
14. Abul-Hasan al-Muqdasi,
15. al-Juwaini,
16. Al-Baghawi,
17. Ar-Ra’fiee’,
18. Al-Haitami,
19. As-Su’youti,
20. Al-Luknawwi,
*Aaj ke dour me Bade Muhaddaseen bhi is Hadees ko “Hasan” kaha…
1 Muhaddase Azam Shiekh Nasiruddin Albani ne is hadees ko “Hasan” kaha {sahih al taghrib wa tarhib}
2.Muhaddis SHAKIR ne bhi is hadees ko sahii kaha
3.SHEIKH. MUBARAKPURI Ne is hadees ko Hasan kaha[Mura’at al mufa teh Sareh Miskat Al musabiya jild-4 safa-374 .}
4.Muhaddis Shieik Zubair Ali zae bhi Is hadees ko Hasan kaha ” [Sunnan Abu Dawud, Published by Dar us Salam, Volume No.2, Page No. 96
Scan :

————————-
Teesri baat :
Muhaddaseen Aur Ulama ke Opinion kya hain salatul Tasbeeh ke bareme
1. Imam Tirmizi kehte hy Zyadase Ulama me aur Unme se Abdullah Bin Mubarak Is salatul Tasbeeh ka namaz ko kayal the (Tirmidhi vol.2 pg.348; Hadith 481
2. Imam Baihqi kehte hy ke A Salatul tasbeeh ka Namaz ( Muhaddis ) Abdullah Bin Mubarak ka amal tha aur salaf me bhi a amal tha (Shu’ubul Imaam vol.1 pg.427; Ilmiyyah)
3.AllaamahMunzhiri (RA) kehte Bahut sare Muhaddaseen is Qayal the wo a log hy 1) Imaam Abu-bakr al-Ajurriy, 2) Imaam Abu Muhammad al-Misriy (Ustaadh of Allaamah Munzhiri), 3) Hafiz Abul-Hasan Maqdisi (Ustaadh of Allaamah Munzhiri), 4) Imaam Abu-Dawud and 5) Imaam Haakim. (Targheeb vol.1 pg.468)
4. Imam Muslim ne farmaya: Is mamle mein Rawiyon ke sahih sanad ke saath isse(yani Ibn Abbas ki riwayat se ) behtar koi hadees nahi hai.
5. Imam Suyuti kehte hy 20 jalilul Qadr Muhaddaseen bhi Is hadees ko sahii kaha wo a log hy 6) Hafiz Abu-Sa’eed al-Sam’aaniy, 7) Hafiz Khateeb al-Baghdaadiy, 8) Hafiz ibn-Mandah, 9) Imaam Bayhaqi, 10) Imaam al-Subkiy, 11) Imaam al-Nawawiy, 12) Haafiz ibn al-Salat, 13) Hafiz Abu-Musa al-Madiniy, 14) Hafiz al-Alaaeiy, 15) Imaam Siraaj-ud-Deen al-Bulqiniy, 16) Hafiz al-Zarkashiy and a few others. (al-Laalil Masnoo’ah vol.2 pg.42-44)
6 Ibne Hajr Asqlani kehte hy Ahmed Bin Hambal ne Unke Ray(Opinioun) Ko Baad me Ruzu karliye the Futuhaat al-Rabbaaniyyah vol.4 pg.318, 320)
7. Muhaddis Zubair Ali Zai rahimaullah kahte hai-
“Iski Sanad me koi Inqata,Illat ya Shuzuz nahi hai, (aur tamam raawi siqa hai) ,lehaza ye hadees Hasan hai. “
8. Shaykh.Maqsoodul Hasan Faizi Salatut Tasbeeh ke hadees ke bareme kehte hain : Mere Tehqeeq ke Mutabiq A hadees sehat ko pahunchti hain. Qibarul Muhadseen is Hadees sahee maana Hain. Agar koyi Amal kiya to usko Biddat Nahi kehsakte.

0 comments:

Post a Comment