Tuesday, September 22, 2015

Imam Bukari rahimaullah kaun the? pt 5 of 6

Imam Al Muslemen ‘kaddawat Al Mohaddin’ Amirul Hashen Hazrat Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Ismail Bukhari r.al Islam k Un Naami (Mainaaz) Saks me se hai Jenka Naam Islam Aur Quraan k Sath-Sath Dunya me Jenda Rahega …
**jab kutub he paida na ho tou ,kaas ker k hadees e Nabwi k tarteb dena Muskil ho jata.
**Imam Bukhari r.al ko Muhaddisen k jamat me ek khas mokaam hasel hai , Imam bukhari r.al wo sakas hai jinhone Rasualllah sallallahu alaihe Wasallam aur Sahaba raziallah hu anhum k hadees aur rewayaat jama karne k azim kaam ko Anzam keya , es kaam me unhone apne jendagi k asaayes ,aram doulat sab kuch kurbaan kar deya.
*EK MUBARAK KHWAB:
Hadees imam e azam Muhammad saw ke liye aapke Kalb Mubarak me ek khas all khas jazba tha
Ek raat aap khwab dekhte hai ke hujur saw aaram farma rahe hai aur aap hujur saw ki sarhane khade ho kar pankha jhal rahe hai aur makhi wagera mozi janwaro ko aap s.a.w se door kar rahe hai .
Bedar ho kar mubrin se tabir puchi gai to unhone batlaya ke aap rasool Kareem saw ki ahadees pak ki ajim khidmat anjam denge aur jhute logo ne Jo ahadees khud wajah karli hai sahi ahadees ko aap unse bilkul alehda chant denge.
Usi dauran aapke bujrug tareen ustad HAZRAT ishak bin rahwiya ne ek roz farmaya ”
“LO JAMIATAN KATABA MUKHTASARA AS SAHEE SUNNAH RASULULLAHI SAW ”
Kas aap nabi Kareem s.a.w ki sahi sahi ahadees par mustamil ek jaame mukhtasar kitab tasnif kar dete .
HAZRAT Imam BUKHARI r.al farmate hai : “FAUKA JAALIK FI KALBI”
Mere dil me ye baat baith gai aur Maine usi din se jaame sahi ki tadween ka ajm ball jazm kar liya.
*TARIKA TAALIF:
Iss bare me khud Imam BUKHARI r.al farmate hai ke Maine koi hadees iss kitab me uss waqt tak dakhil nahi ki jab tak gushl karke 2 rakat namaz Ada na karli ho. Baitullah sareef me use Maine taalif kiya aur 2 rakat namaz padh kar har hadees ke liye istekhara kiya mujhe jab har tarah uss hadees ki sehat ka yakin hua tab Maine uske andraz ke liye qalam uthaya , usko Maine apni najat k liye hujjat banaya hai aur 6 lakh hadeeso se chant chant kar Maine use jama kiya hai.
Allama ibne aadi apne suyukh ki ek jamat se nakal hai ke imam BUKHARI r.al ijma sahi ke tamam tarajum abwab ko hazra NABAWI aur membar ke darmiyan baith kar aur har tarjama albab ko 2 rakat namaz Ada karke aur istikhara kar ke kamil itminan Kalb hasil hone par saff karte .
Waraq ne apna ek waqiya bayan kiya hai ke main imam BUKHARI r.al ke saath tha Maine aapko kitab all tasreer likhne me dekha ke raat me 15 ya 20 martaba uthte chakamak se aag raushan karte aur chirag jalate aur hadeeso par nisan deh karke sote.
IS SE PATA CHALTA HAI IMAM BUKHARI R.Al SAFAR O HAZR ME HAR JAGAH TAALIF KITAB ME MASGUL REHTE THEY.
usi tarah jis jagah sahi hadees ka sahi hone ka yakin ho jata us par Nisan laga dete.
Usi tarah 3 martaba aapne apne zakhira par nazar farmai
Usko imam BUKHARI r.al ne ek bar haram me aur dusri baar madina munawara NABAWI membar aur mehrab NABAWI ke darmiyan baith kar anjam diya .
Using tarjim abwab ki tehjib wa tabwib k waqt Jo hadeea abwab k tehet likhte pekle gushl karke istikhara karlete uses tarah pure 16 saal ki muddat me uss ajim kitab ki taalif se farig huye Alhamdulillah.
*AAWAZAH KHALK KO NAKARA KHUDA KEHTE HAI.:
In sab ko malhuj rakhte huye bila khauf tardeed kaha ja sakta hai ke hj Imam BUKHARI r.al indallah maqbul, aur aapki jama sahi bhi indallah maqbul aur ummat ke liye bila sak o subah quran majid ke baad sabse jyada sahi rar Kabil e amal kitab hai.
Jo Saks v hj Imam BUKHARI r.al ke Saan me tankis wa tanfif aur aapki jaame all sahee ke bare me sukuk o subahat ki fiza paida karta hai who ijma e ummat ka mukhalif hai.
Khati hai nakabil tafat hai balke hj sah waliallah muhaddis dehlwi kadsarah ke lafzo me who BIDDATI hai…
Jaame sahi ke mutalik pehle khud imam BUKHARI r.al ki bayan suniye
Farmate hai : “LAM AKHRAJ FI HAZAL KITAB AL SAHIA”
Maine apni iss kitab me sirf sahi ahadees ki takhriz ki hai.(mukaddama fatahul baari)
Aur farmaya ke Maine takriban 6 lakh stark se jaame sahi ki ahadees ki intikhab kiya hai.
Hafiz ibne salah farmate hai ke sahi BUKHARI me tamam musnad ahadees mukarrat samet 7275 ki tadad me hain aur mukarrat ko nikal diye jaye to 4000 ahadees reh jati hai (mukaddama ibne salah safa no
Ye ikhtilaf tadad mehez mukhtalif aksam ahadees ki ginti k aitbar se hai isliye dono bayan sahi hai.
HAZRAT Imam BUKHARI r.al jab oski jaame wa taalif se farig huye to apne use Imam Ahmad bin hambal aur Imam yahya bin muaain aur Imam ali bin madini wagera akabir ummat ke samne pesh kiya sabne mutafika Taur par uss kitab ko mustahsan karar diya aur uski sehat ki gawahi di baaz HAZRAT ne sir 4 hadees se mutalak apna khayal jahir kiya magar aakhir me unki mutalik v hj Imam BUKHARI r.al hi ka khayal sarif sahi sabit hua(mukaddama fathul bari )
Hafiz ibne hajar r.al likhte hain ke hj Imam kadsara ne apni jaame sahi ko majkura bujurgon ke alawa waqt k digar masayekh o fuqah wa muhaddis k samne v pesh kiya sabne mutafiqa taur pe uss kitab ki sehat ki tasdik wa tawsik farmayi.
Imam Nisai rh farmate hai ummat ka sahi BUKHARI wa sahi Muslim har do kitabo ki sehat katai par ijma ho chuka hai aur jumla kutub ahadees me sahi BUKHARI sabse afzal hai…
Digar tasanif hazrat imam bukhari rahematulaha alhi
Aap ki ajim tasnif al jamia sahi par jo kuch likha gaya wo mahej muste namuna ajhkharo are hai.Ye wo ajim kitab hai jiske ek ek lafz ki suru wo tafsil ke liye dafatir darkar ho sakte hai. Is ki bahut si sardehat hai fataul bari ko kis kadar jamia kaha ja sakta hai. Magar asra hajir me aaj ek aur fataul bari ki jarurat hai jisme ulum jadida rasni me aa hadish e nabwi ke ek ajim khajana ka mutala hona chahiye.Allaha ke liye koi muskil nahi ke duniya e islam ka koi maya naaz farzind ulma ibne hajr sani ki sakl me paida ho aur ye khidmat anjam de.
Aap ne iske ilawa bahat si kitabe tasnif farmai hai jinme( fajaya al sahaba wa tabaeen) aap ne apne umr ajij ke 18we saal me peheli tasnif farmai thi magar afsos ke aaj iska koi nuskha majooda ilm me na aa saka umr ke isi dauran aap ne( attarikul kabir ) likhi jise daerattul maruf Hyderabad me basurat ij jasa kiya tha.
( Attarikul wast) aur( attarikul sagir) bhi aap ki ahem tasanif hai. Khulk e afwa al ibad kitab (jaifa ul sagir )( musnnadul kabir) iladabul mufarad bhi app ki sandar yaad gare hain khusu san adabul mufarad badi jama pakija ikhlati kitab hai jise aap ne behetarin madlil taur pe jama farmaya hai iski arbi saro aur ardo tarajim kafi saye ho chuke hai (hazz) 62 iswi me ek nuskha muah sarah fajl allaha ul samd juda se bator taufa mila hai masar me taba ho chuka hai aap ne is risala me aa hadish e wasnan ki rausni karayat fatiha khulfulmam ka ajbat farmaya hai aur khilaf dalael par bhi dali hai isi tarha dusra shala aap ka jaja rafulyadeen ke naam se mashur hai jisme aap ne bator ja hadish rafulyadeen ka madlal asbat farmaya hai in dono ij ja ke aap riwayat karne wale aap sagird rasid mohhmad bin ishaq jajai hain aap hajrat imam ke wo sagird hain jinho ne bukhari ameen sabse aakhir me aap se sirf taameej hasil kiya inke ilawa aur bhi bahat si aap kalmi yaad gare hain jinme se aksar napeed ho chuki hai baaj ke kalmi nusk dusri jang e ajim se kabl kutub khana darul ulum jarman me pae gae ab na mulum inklabad jamane ne inko bhi baaki rakha hai ya nahi.(sure raad ,,39)
**Wafat hasrat aayat hajrat imamul muhaddisin mohammad bin ismail bukhari rahemattullha taala**
Khalid bin daheli hakim bukhara ki baabat likha ja chuka hai ke wo hajrat sayedul muhadisin se mehej is bina par ke aap ne darse hadish ke liye sae darbar me jane ke aur iske saja jadon ke liye waqt maqsoos karne se inkar farma diya tha mukhalifat par aamada ho gaya tha aur chahata tha ke kisi bahane se hajrat imam ko seher bukhara se nikal diya jae jisme wo is jamane ke ulma e sa ke taun se kamiyab ho gaya inho ne hajrat imam par akayad ke bare me iljam lagaya phir hafiz ameen ke bahane se jajrat imam ko bukhara se nikal jane ka hukm de diya aap badal naakhuaasta bukhara se ye kehete hue nikle ke “khadwanda” in logo ne mere saath jo irada kiya tha wahi surat haal inko apne aur inke ahelo ayaal ke bare me dikhla de majlum imam ki dua kubul hui aur ek mahina bhi na gujra tha ke daheli ameer tahir ke hukm se maajul karke musibat pesh aai aur dusre mukhalifin bhi isi tarha khaib wo khasir hue.
Duniya ka yahi dastur hai ke ek din wo tha ke hazrat imam bukhari apne ilmi asfar se bukhara wapas laute to seher se 3 mil ke phasle par inke liye dere laga gaye the aur pura seher inke istaqbal ke liye aamand aaya aur in par rupay aur asrafiyan tasdiq kiye gae ek din aaj hai ke hazrat Iimam ko apne watan maaluf se nikal ja raha hai aur wo dast baddua be kisi ki haalat me watan se bewatan ho rahe hain aap bukhara se chal kar bekand pahanche wahan se samrkandwalon ki dawat par samrkand ke liye dawat kubul farmai khartang naami ek gaon me jo mujafat samrkand se tha aap pahanche hi the ke tabiyat kharab ho gai aur wahan apne ikraba me utar gae ek raat aapne allaha se dua ki ke ilahal aa lamin ab jamin mere liye tang najar aa rahi hai behetar hai ke tu mujhe apne paas bula le aakhir 13 din kam 62 saal ke umar me ye aaftab hadish hartang ki jameen me gayab ho gae…
“INNALLAHA WA INNA ILEIHI RAAJIUN”
ruh par waaj kar jane ke baad bhi bara bar jism par pasina jaa rahi hai yahan tak ke aap ko gushal de kar kafn me lapet diya gaya kuch log samrkand le jane ke khwis mand hue magar khartang hi me tadfin ke liye ittefaq ho gaya iddul fitr ke din namaz zohar ke baad aap ka janaza uthaya gaya ek khalk kasir ne tadfin ne sirkat ki aur aaj wo aa hadish e rasul karim S.A.W . ka aftab aal mutab duniya e islam ka mehesn ajim khak me chup gaya aur duniya me taariki ho gai ek sayar ne aap ke saal wa laadat aur saal wafat har do ko ek hi band me jama kar diya hai.
Khatib abdul wahid bin aadam kehete hain ke aa hajrat S.A.W ko khuwab me chand sahaba karaam ke saath kisi ka muntajeer dikhaya salam ke baad arz kiya hujur kis ka intejar farma rahe hain?Irsaad hua ke me aaj mohammad bin ismail bukhari ke intejar me khada hua houn baad me jab hajrat imam ke intekal ki khabar pahanchi to mene khuwab ke waqt ke bare me socha Imam ke intekal ka thik wahi waqt tha. Aap ki wafaat hasrat aayat par duniya e islam me ek tahel ka barpa ho gaya har seher wo kariya me muslmano ne ijhar gum kiya.Aur aap ke liye dua e magfirat ki ulma e ummat aur musahir islam me is sahan par bahat se mukala jaat aur sayar likhe jo kutb twarikh me likhe hue hain.
Mere akhri post me InshaAllah Imam Bukhari r.al k sagerdo ki detail hoge.. Bas etne he.. Aaj k es post me..
TO BE CONTINUED……

0 comments:

Post a Comment