Tuesday, September 22, 2015

WADH’U KE AHKAAM (PART 1 OF 3)

Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu..
Paani Ke Ahkaam :::::
Namaaz ke liye wazu shart hai. Wazu ke baghair namaz nahi hoti. Isi tarha wazu ke liey paani ka paak hona shart hai.
Abu Saeed Qhudri Rad. farmate hain: ‘Rasool Allah Sallallahu alai Wasallam se sawal kiya gaya:
Kya ham baza’a ke kuwei’n se wazu karsakte hain? Ye ek Aisa kuwa’n hai jis me badbudaar cheezei’n phainkee jaati hain.’ (Baza’a ka kuwa’n dhalwan (T: slope) par tha aur barish waghiara Ka paani in cheezo’n ko baha kar ku’nwe me lejaata tha…)
Nabi e Rahmat Sallallahu alai Wasallam ne farmaya: Paani Paak hai (aur Is me doosri cheezo’n ko paak Karen ki salaahiyat hai) ise koi cheez naapak nahi karti.
(Abu Dawood , At Tahaara, Baab Majja fee Bair Baza’a # 66 , )
(Tirmizee, At Tahaara, Baab Majja Innal Maa’o Laayanjasa Shai # 66)
Ise Imam Tirmizee ne Hasan jabke Imam Ahmad bin Hambal, Yahya bin Moeen, Ibne Hazam aur Navavi ne Saheeh kaha). Ma’aloom hua ke kuwe’n ka paani paak hai. Nabi e Akram Sallallahu alai Wasallam ne farmaya : ‘Daryai Aur samandari paani paak kare wala hai. Aur iska murder halal hai.’
(Abu Dawood, At Tahaara # 83, Tirmizee: At Tahaara # 69)
Is hadees to Imam Tirmizee, Imam Haakim (V1 P140 ‐ 141), Imam Zahabi aur Imam Navani (Al Majmoo’a V1 P82) ne Saheeh kaha.
Abu Huraira Rad. riwayat karte hain Rasool Allah Sallallahu alai Wasallam ne farmaya ke: ‘Jambi (T: Man who has sexual intercourse with his wife) there hue paani me ghusul na kare.’ Abu Huraira se Poocha gaya ke phir wo kya kare? Farmaya: Zaroorat ka Pani lekar baahar ghusl kare.’
(Muslim, At Tahara # 282)
Nabi e Rehmat ne Sallallahu Alai Wassallam Khade pani me peshab kare aur phir ghusl karne se mana farmaya.
( Bukhari, Al Wazu # 239 & Muslim, # 282 )
Nabi e Rehmat Sallallallahu Alai Wasallam ne khade pani me peshab Kanre aur phir is se wazu karne se mana farmaya.
(Tirmizee : At Tahaara # 68)
Ise Imam Tirmizee ne Hasan Saheeh kaha hai. Iske rijaal (T: narrators) Muttafiq A’alai (Hadees which is mentiond in Both Bukhari & Muslim) Hain dekhie Saheefa Hammam bin Munabbah.
Allahutala Farmata hai..
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُواْ إِذَا قُمْتُمْ إِلَى الصَّلاةِ فاغْسِلُواْ وُجُوهَكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ إِلَى الْمَرَافِقِ وَامْسَحُواْ بِرُؤُوسِكُمْ وَأَرْجُلَكُمْ إِلَى الْكَعْبَينِ وَإِن كُنتُمْ جُنُباً فَاطَّهَّرُواْ وَإِن كُنتُم مَّرْضَى أَوْ عَلَى سَفَرٍ أَوْ جَاء أَحَدٌ مَّنكُم مِّنَ الْغَائِطِ أَوْ لاَمَسْتُمُ النِّسَاء فَلَمْ تَجِدُواْ مَاء فَتَيَمَّمُواْ صَعِيداً طَيِّباً فَامْسَحُواْ بِوُجُوهِكُمْ وَأَيْدِيكُم مِّنْهُ مَا يُرِيدُ اللّهُ لِيَجْعَلَ عَلَيْكُم مِّنْ حَرَجٍ وَلَـكِن يُرِيدُ لِيُطَهَّرَكُمْ وَلِيُتِمَّ نِعْمَتَهُ عَلَيْكُمْ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ
“Aye Eman Walo! Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Ho To Apne Chehro’n Ko Aur Haatho’n Ko Kohniyo’n Tak Dho Aur Apne Sarka Masha Karo Aur Taqhno’n Tak Apni Pao’n Dho.’
(Surah al Maaeda # 6)
_________________________________________
MASNOON WUZU SE GUNAHO’N KI BAQHSHISH:
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:
‘Jis waqt banda momin wuzu shuru karta hai, phir kulli Karta hai to is ke mun’h ke gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt naak jhaadta hai is ke naak ke gunah nikal jaate hain. Phir jis waqt cehra dhota hai is ke cehre ke gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi gunah nikal jaate hain. Cehre dhote waqt guhan daadhi ke kinaro’n se bhi girte hain aur jis waqt wo haath dhota hai to is ke dono’n hatho’n se gunah nikal jate hain yaha’n tak ke dono’n hatho’n ke naqhuno’n ke neche se bhi nikal jaate hain. Phir jis waqt masah karta hai to is ke sar se gunah nikal jaate hain, yaha’n tak ke duno’n kano’n se bhi gunah nikal jaate hain. Phir jis waqt pao’n dhota hai to iske dono’n pao’n se gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke dono’n pao’n ke naqhuno’n ke neeche se bhi nikal jaate hain. Yaha’n tak ke wo sab gunaho’nse Paak saaf hokar nikalta hai.’
( Sahih Muslim, At Tahara # 244)
Ek Shaqs ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam se poocha ke aap apni ummat ko (maidan e hasher me) doosri ummato’n ke (be shumar logo’n ke) darmiyan Kis tarah pehchaane’n ge? Aap ne farmaya: Mere ummati wuzu ke asar se safed (noorani) chere aur safed (noorani) hath paao’n wale ho’nge. Is tarha inke siwa aur koi nahi hoga.

( Sahih Muslim, At Tahaara # 247)……

0 comments:

Post a Comment