Tuesday, September 22, 2015

Imam Bukari rahimaullah kaun the? Pt 2 of 6

Imam Al Muslemen ‘kaddawat Al Mohaddin’ Amirul Hashen Hazrat Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Ismail Bukhari r.al Islam k Un Naami (Mainaaz) Saks me se hai Jenka Naam Islam Aur Quraan k Sath-Sath Dunya me Jenda Rahega , Hadees e Rasul Akram Sallahu alaihe Wasallam ki jaanch-partaal ‘ fer unke Jama o Tarteb per Aap ki Masaai’ jamel ko Aane Waali Tamaam Muslamaan Nasle khara’az pess karte Rahege.
Aap k jehwer per ser’waren Es Quraani Peshan-goye k Mutabik hua jo baare Tala ne Sureh Juma me Farmaye:
”YAANI JAMANA E RESALAT K BAAD KUCH AUR LOOG V WAJUD ME AYEGE JO ULUM KITAAB WA HIKMAT K HAMIL HOGE”
(SUREH JUMA , AYAT:3)
Hazrat Imam Bukhari r.al yakinan he paak Nafush k Sarkhel hai , Hazrat Mohammad Sallalahu alaihe wasallam ne Farmaya tha k Aal’Farash me se kuch Ayse Loog Paida hoege k Ager Deene’uloom serya-setare per hoge tou Waha se v unko Doond Nekalege.
Mubarak hai wo farsi Khandaan jisme Hazrat Imam Bukhari r.al serat e pakiza Aur hayate’tayyaba per unper 1200 baraso me bahut se kitabe lekhe gaye h jinme se Aaj bahut se nayab v ho chuki hai Aur Bahut se Mouzud v hai. Arbi wa Farshi k Elawa Urdu me v Bahut kaafi Aawaad Mouzud hai , jiske Rousne me Ager Mofssil’Kalam uthaya jaye tou ek Mustakil kitab tayyar ho sakti hai chuke yaha tafser k mouka nahi h lehaza mukhtaser Halat Jindagi Nazren ke ja rahe h.
Naam w Nesbat w Paidaes:
Amirul Mominin fe Ahle-hadees Imam Bukhari r.al k Naam Naami ”Mohammad” Aur kunniyat Abu Abdullah hai , silsela e Nesbat ye hai Mohammad bin Ismail bin Ibraheem bin Mughirah bin Bardizbah bin Baz’zbah Al Zaifi Al Bukhari .
Hazrat hafiz Ibn Hazar r.al ne ”Bardizbah ” k Mutalik lekha h k Wo Atish parast the. Esse Apka Farsi Al Nasal hona jaher h , Hazrat Imam Bukhari r.al k Pardada ”Mugheera” ne Imaan ”Al jaife” hakim Bukhara (sahar) k Hanth per Islam kabul keya Aur Sahar Bukhara he me Sakunat pajer ho gaye. Ese Wajah se Hazrat Imam ko ”Al jaife Al Bukhari” kaha jata h.
Apke Walid Majed Hazrat Moulana Ismaeel sahab r.al Akaber Mohaddis me se hai , Kunniyat Abu Al’hasan hai , Hazrat Imam Malik r.al k Akhsh tamza me se hai. Aur Hazrat Imam Malik r.al k Elawa Hamda bin Zaid r.al Aur Abu Mawiya r.al Abdullah bin Mubarak r.al wagaira se Aap ne Hadees Rewayat ki hai. Ahmed bin hafiz r.al Naser bin hussain r.al Wagaira Aap k Sagerd hai. Es kader Paak-Baaz’ Muttadin’ Mahtaad the Khas tour per Aqal halat me k Aap l Maal me ek Derham v aysa na tha jise Mshkok ya Haram karar deya ja sake, unke Sagerd Ahmed bin Hafiz k Bayan hai k mayne Hazrat Moulana Ismaeel k Wafaa’t k Waqt hazir tha , Us Waqt Aap ne Farmaya k may apne kamaye hue Maal me Ek Derham me Mushtaba’chorz (kisi k haram maal nahi ) chala hu.
Imam Bukhari kaddas sara Saher Bukhara me Ba-tarekh13th Sawwal 194 hijri Namaz e Juma k baad paida hue. Ye fakr e Ummat me kam he logo ko hasel hua hai k Baap v Muhaddis ho Aur Beta v Muhaddis balke Sayed Al Muhaddisinen .
Allah Tala ne ye Sarf Hazrat Imam Bukhari r.al ko Naseb Faramya.
Jis tarah Hazrat Yusuf a.s ko ”Karem Ibn Al kareem Ibn Al kareem” Kaha gaya h , Hazrat Imam Bukhari r.al v ”Muhaddis Ibn Al Muhaddis” karar paye .
Mager Afsos k Walid mohtaram ne Apne hunhaar farzand k Elmi Zindagi Nahi dekha Aur Aap ko bachpan he me Daag-Mufarekat de gaye.
Hazrat Imam Bukhari r.al ki Tarbeyat ki puri jemme-daari Walida Mohtama per aa gaye jo nehayat he Khuddar say’ada Ibadat
Guzaar Sab’bedar Khatun the, walida’in ki Elmi Saan wa Deen’Daari k Pess e Nazar Andaza lagaya ja sakta hai k Hazrat Imam Bukhari r.al ki Taleem wa Tarbeyat kis Andaze k sath hue hoge.
Allama Kastalani r.al faramate h: Aap ne Elm ki goud me parwaresh Paye,yaha tak k Aap pade Aur Elm ki pustaan se shear paya, Aur Use per Apka fataam yaani Doodh chadne k jamana khatam hua.
TO BE CONTINUED……

0 comments:

Post a Comment