Tuesday, September 22, 2015

Imam Bukari rahimaullah kaun the aur unke ustaad aur shagerd ke naam? Pt 6 of 6

Imam Al Muslemen ‘kaddawat Al Mohaddin’ Amirul Hashen Hazrat Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Ismail Bukhari r.al Islam k Un Naami (Mainaaz) Saks me se hai Jenka Naam Islam Aur Quraan k Sath-Sath Dunya me Jenda Rahega …
**jab kutub he paida na ho tou ,kaas ker k hadees e Nabwi k tarteb dena Muskil ho jata.
**Imam Bukhari r.al ko Muhaddisen k jamat me ek khas mokaam hasel hai , Imam bukhari r.al wo sakas hai jinhone Rasualllah sallallahu alaihe Wasallam aur Sahaba raziallah hu anhum k hadees aur rewayaat jama karne k azim kaam ko Anzam keya , es kaam me unhone apne jendagi k asaayes ,aram doulat sab kuch kurbaan kar deya.
**jaisa k aap sare bhaio ko mayne wada keya tha k may Imam bukhari r.al k Ustaad aur Sagerd k baare me v batuga , aaye jane **
Apke Dars-Gah me apke Apne -Paraye Ashitisha Sagerd V Samel hote the, Yaani wo Pahle Apke Ustaad the Fer apke Sagerd bane.
1-Abdullah bin Mohammad Masnadi
2-Abdullah bin Abi Muneer
3-Eshak bin Mohammad
4-Mohammad bin Khalf bin Kutaiba ,wagaira
ye sab bare paaye k loog the Sahab-e-kamal the , leken Imam Bukhari r.al k nukat e Hadees lekhne per Mazbur hue.
Zin Muhaddis ko Apke Barabree k Dawa tha, wo v unke fazal o kamal ko tasleem karte wo v Imam Bukhari r.al k Darsh me Samil ho gaye Aur Barabari k Dawa tark karne ko majbur hue.
Ayse logo me..
Imam Abu Zohra Raazi,
Abu Hakim Raazi,
Ibrahim Haabi,
Abu Bakr bin Abi Ashim,
Musha bin Haroon,
Abu bakr mohammad bin Ishak bin Khuzaima,
Hashim bin Zakariya, wagaira Samil h
ye loog Fan-e-Tarekh , Fan-e-Tadil-o-Zara ,Fan-e-Hadees k Imam maane jate hai.
Ye sab Imam Bukhari r.al k Dil-Dada the Apke Halk-e-Darsh me Aaker apke takarer lekha karte the.
*Imam Bukhari r.al k en sagerdo k Naam v soon le jenke Aaj Alam me bare Sohrat paaye jaate hai jo Fununiya-Islamiya k ek Aham rukn maane jaate hai jenke Rewayat hadeeso per Islamic Masail k Bara daro madaar hai.
1-Imam Muslim bin Hazaz (jinhone Muslim Sareef lekhe)
2-Imam Abu Abdur Nishai (jinhone Nishai Sareef lekhe)
3-Imam Abu Isha Tirmizi (jinhone Tirmizi Sareef lekhe)
4-Imam Mohammad bin Nasr Marwazi
5-Imam Darmi
6-Imam Ibn Khuzaima.
Ye sab hazraat bare paaye k Muhaddis or fakaye hai.
*Imam Abu Zafer Ukaidi Farmate h: Imam Bukhari r.al ne Bukhari kitab lekh ker us Waqt Ulma k samne pess keya, us Waqt un ulmao k Musalmana me bara Fazl-o-karam tha Aur Unche Mokam Rakhte the jinme.
1-Imam Ahmed bin Humbal
2-Ali bin Madini
3-Yahiya bin mayen
bare Umda Ulma the en sab ne Bukhari ko bari Nehayat Pasandgi Aur Kder ki Neyat se Dekha Aur Sab ne Eske Sehat ke Basharat de.
Taham 4 Ahadeed me ham kalam keya , leken jab es hadees per tahkek ki gaye tou Imam Bukhari r.al ki Baat he Durust Nekle, wo 4ro Ahdees v Sahi tahree.
*Imam Bukhari r.al k Sagerdo k Naam:
1-Imam Muslim bin Hazaz r.al : Unho ne Muslim Sareef lekehe ,Bukhari Sareef k baad Mustarin Kitab Muslim Sareef ko maana gaya, sahi Muslim ki v Bahut se Sahr lekhe gaye , Tanzim v lekhe gaye , Sahr Aur Tarazim ki Tadad takriban 30 hai.
2-Imam Abu Esha Tirmizi r.al : enhone Tirmizi sareef lekhe , jo shih-satta me samil hai , kitab Tirmizi k elawa enke Aur Mashur Tasanef hai jenke Urdu , Farsi me Tarazim keye gaye.
3-Imam Nishai r.al : enho ne Nishai Sareef lekhe , ye v Shih-Satta me Samil hai.
4-Fiabri r.al
5-ImamDarmi r.al : Enhone Imam Bukhari r.al ki jendagi me Wafat paye , Imam Bukhari r.al ko unke Mout se Bahut Gehra Sadma pahucha tha, unke Tafsenaat me Al-Musnad , kitabut Tafseer Aur ”Al-jamai ”Mashur hue.
6-Sale’h bin Mohammad Zahra r.al : enka gazab k hafiza tha , moo-jabani Dars deya karte the Zahra bin hafiz k naam se mahoor hue.
7-Fa’kaye Imam Mohammad bin Nasr Marwazi r.al : Bahut bare Fakaye the.
8-Imam Abu Hatim Raazi : Fan’n-e-Zrkh o Tadeel k Bahut bare maane jaate hai , Ahdees e Rasul (s.a.w) ki talash me Hamesha paidal Safar keya .
Bahren se Misr
Misr se Ram’mallah
Ram’mallah se Tartush tak paidal Safar keya , Imam sb se Bahut kuch Estafada keya.
9-Ibrahim Al harbi Al Imam r.al : Fan-e-lugat,Adab,Naham aur Fikah k Imam maane jate hai.
Allama sallab kahte hai mayne Imam Harbi ko Lugat Aur Nahaf ki Darsh gah se 50 saal me ek baar v naga karte hue na dekha , Tabiyat me Sbr Aur Kana’at the k Salatin ki Wajaef aur Taheef ki Tarah Nazar Utha ker v na Dekhte the.
10-Abu-Bakr bin Abi Asim Al hafiz Al kaber r.al : Enhe 50,000 Ahadees Moo-jubani yaad the Ashfahaan me ek Muddat tak kazi k Ohde per rahe , Imam Bukhari r.al ki Darsh gah me Bakaydage se Hazir rahte the.
11-Ibn e Khuzaima r.al : Sahab-ul-Fekah’ul hadees hai, Hafiz Zahwi ne Unhe Imam-ul-Aima Aur Shaikul Islam k Lakab deya hai, Tasneefat ki Tadaad 144 bataye jate hai , Fatwa hadeesya k 100Zuj lekhe , enke Ta’alef ”Sahi Ibn-e-Khuzaima” hai , ye v Imam Bukhati r.al k Darsh me Haziri dete the.
12-Abu Zafar bin Abi Hatim War’rak r.al : ye Sahi bukhari k KATIB hai , Imam Bukhari r.al k Naami Sagerdo me se hai , Sahi Bukhari k kaye Mokamaat per enka Zekr hai , Imam Bukhari r.al k Muhafiz-e-Daftazr v yahi the.
13-Abu Abdullah Hussain Ali bin Al Mohamli r.al : 10 saal ki umr me Samaad Suru ki, unke Majles-e-Darshgah me 10,000 Tabayin Samel hua karte the.
14-Abu Ish’haak Ibrahi, bin Ma’akkal Nashfi r.al : Magrabi Muwalik me unke Sanad se Bukhari rewayat ki jaate hai.
**Enke Elawa v Imam Bukhari r.al k Talaba k Naam**
1-Abu bakr bin Abi dunya
2-Abu bakr Bazaz
3-Musha bin Harun Hamma’al
4-Abu Beshr Dolawi
5-Mohammad bin Kutaiba Bukhari
6-Abul Fazl Ahmed bin Abu Salma
7-Umr bin Mohammad
8-Hussain bin Mohammad
9-Yakub bin Yusuf bin Akhrab
10-Abdullah bin mohammad binNajiya
11-Shal bin Sha Zoya Bukhari
12-Ubaidullah Abi Wasid
13-Kasim bin Zakariya
14-Abi Kuraish mohammad bin Zumua
15-Mohammad bin Sulemaan Bawandi
16-Ibraheem bin Musha
17Abu bakr Ahmed bin Sadka Bagdaadi
18-Ishaak bin Daood Sw’waaf
19-Hasim bin Ismaeel Bukhari
20-Mohammad bin Abullah bin Zunaid
21-Mohammad bin Musha
22-Zafer bin mohammad neshaburi
23-Abu bakr bin Abi daood
24-Abul Kasim Bagwi
25-Abu mohammad bin Sa’ad
26Mohammad bin Harun Hazrami
Wagairah-Wagairah…..
Ye the naam Huffaz-e-hadees ki jo Imam Bukhari r.al k Sagerd e khas the.
Ese k sath may Imam Bukhari r.al k Taskera Khatam karta hu..
Imam Bukhari r.al ne Hadees e rasul ko ekhatta karte-karte Apne puri jendagi laga de, unhe Waqt he na mele apne jaati jendagi k leye , unke koi Aulaad nahi … Leken Aaj chane walo ki kami nahi jaha kahi v Imam bukhari r.al k hawala dekha waha Ankhe band ker k Maan lete loog aur us hadees ko tasleem kar lete h… Akher ye kya h unke chane waale Aulaad lackho Caroro se v jayada hai.. Kitno ko kahoge k Imam bukhari k Bukhar lag gaya… Hanfiyo tum kavi nahi sudhar sakte ho…
islam Zindabaad…

0 comments:

Post a Comment