Tuesday, September 22, 2015

WADH’U KE AHKAAM (PART 3 OF 3)

MAUZAO’N PAR MASAH KARNE KA BAYAN–
Mughaira bin Shoba Rad. bayan karte hain ke ek safar mein, mein Nabi e Rahmat Sallallhau Alai Wasallm ke hamrah tha.
Main ne wuzu ke waqt chaaha ke Aap ke dono’n mauze utaardu’n. Aap ne farmaya: inhein rehnedo main ne inhei’n tahaarat ki haalat me pehna tha phir aap ne in par masah kiya.
[Bukhari: al Wuzu 206 – Muslim: al Tahaara 274]
Shareen bin Haani Rad.farmate hain: ‘Main ne Sayyadna Ali Rad. se mauzo’n par masah karne ke muddat ke muta’alliq poocha to Sayyadna Ali ne farmaya: Rasool Allah ne musafir ke liey (masah ki muddat) teen Din raat aur muqeem ke liey ek din raat muqarrar farmai hai.’
[Muslim: al Tahaara # 276]
Imam Nawavi Rah, Imam Auzaai aur Imam Ahmad kehte hain ke masah ki muddat mauze pehenne ke ba’ad wuzu ke toot jaane se nahi balke pehla masah karne se shuru hoti hai, ya’ani agar ek shaqs namaz e fajar ke liey wuzu karta hai aur mauze ya jurabei’n pahen leta hai to agle din ki fajar tak wo masah karsakta hai.
Safwaan bin A’asaal Rad. riwayat karte hain ke jab ham safar mein hote to Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam hamei’n hukam dete ke ham apne mauze 3 din aur 3 rato’n tak paaqhana, peshab ya sone ki wajah se na utarei’n (balke in par masah karein) haa’n janaabat ki soorat mein (mauze utarne ka hukam dete).
[ Tirmizee: al Tahaara 96 & Nasai # V1 P83, 84, 98 ]
Ise Imam Tirmizee, Imam Ibne Qhuzaima, Imam Ibne Hibban aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha)
Is hadees se ma’aloom hua ke Jumbi hona masah ki muddat ko qhatam kardeta hai. Isliey ghusl janaabat me mauze utarne caahiey al batta bol o baraaz aur neend ke ba’ad mauze nahi utarne caahiey balke ma’aeena muddat tak in par masah kar sakte hain.

JURABO’N PAR MASAH KARNE KA BAYAN
Thaubaan Rad. riwayat karte hain: ‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne wuzu karte waqt sahaaba ko pagdiyo’n aur jurabo’n par masah karne ka hukam diya.’
[ Abu Dawood: at Tahaara # 146) Ise Imam Haakim aur Imam Hafiz Zahabi ne Saheeh kaha) ]
———–SAHABA IKRAAM RAD. KA JURABO’N PAR MASAH KARNA——
Sayyadna Oqba bin Umro Rad. aur Abu Saeed Ansari Rad. ne apni jurabo’n par apni chappal ke tasmo’nsamet masah kiya.
(Baheqhee V1 # P25)
Umru bin Harees Rad. farmate hain, Sayyadna Ali Rad. ne peshab kiya phir wuzu karte hue aapne apne jurabo’n par jo jutiyo’n (Chappalo’n) me theei’n masah kiya.
[ Ibn Abi Shaiba wa Ibne al Munzar ]
Ibne Hazam ne 12 Sahaaba Ikram se jurabo’n par masah karna zikar kiya hai. Jim me Abdullah bin Masood Rad, Sa’ad bin abi Waqqas Rad aur Umru bin Harees Rad bhi shamil hain.
Isi tarha sahal bin Sa’ad Rad jurabo’n par masah kiya karte the.
[ Ibne abi Shaiba V1 P # 173 ]
Abu Imaama Rad. bhi jurabo’n par masah kiya karte the.
[ Ibne Abi Shaiba V1 P1 # 73 ]
Nez..Anas bin Maalik Rad. ne wuzu karte hue apni topi aur siyah rang ki jurabo’n par masah kiya uar namaz padhi.
[ Baheqhee V1, P # 285 ]
Ibne Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijama’a hai.
[ Mughnee by Ibne Qadaama V1 # P332 & Mas’alaa # 426 ]
LOGHAT A’ARAB SE ‘JURAB’ KE MA’ANI
Loghat arab ki motebar kibat Qaamus V1 # P46 mein hai har wo cheez jo pao’n par pehni jaae, jo’rab hai. ‘Taj ul Uroos’ mein hai jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen lien wo joraab hai. Allama Ainee likhte hai joraab bate hue oun se banai jaati hai aur pao’n me taqhne se upar tak pehni jaati hai. ‘A’arzatul Hauzee’ mein shaareh hadees Imaam Abu Bakar ibne Arbi tehreer farmate hain: Jo’rab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liey oun ki bani jaati hai. ‘Umdatur Ra’aya’ mein hai jurabei’n rui ya’ani soot ki hoti hain aur balo’n ki bhi banti hain. ‘Ghayatul Maqsood’ mein hai ke jurabei’n chamde ki, Soof ki aur soot ki bhi hoti hain. Pas saabit hua ke Jo’rab lifaafe ya libas ko kehte hain wo libas qhuwah charmi ho, ya ooni ham is par masah karsakte hain.
PAGDI PAR MASAH:
Moghaira bin Shoba riwayat karte hain ke ‘Rasool Allah ne peshani, pagdi aur mauzo’n par masah farmaya.’
[ Bukhari: al Wuzu, baab al Masah a’ala al Qhafeen # 205 ]

Hazrath Bilal Rad. bayan karte hain ke Rasool Allah ne mauzo’n aur pagdi par masah kiya.
[ Muslim: al Tahaara, Baab al Masah a’ala an Naasiya wal Imaama # 275 ]

0 comments:

Post a Comment