Monday, September 21, 2015

Raful yadain karne ke mutalliq Ibn Umar Ra. ki hadith mein Imaam Tirmidhi (ra)ka qaul

Rafulyadein Karne Ke Mutalliq Sayedena Ibn Umar Radi Allahu Anhu Ra. Se Marwi Hadees Ko Imaam Tirmidhi Rh. Aapne Jame Me ( 255 No Hadees ) Darz Karne Ke Bad Farmatey Hai
” Rafulyadein Ke Is Mamle Mein
.
Sayedena Umar Bin Khattab Ra.
Sayedena Ali Bin Abu Talib Ra.
Sayedena Wayil Bin Huzar Ra.
Sayedena Malik Bin Huwarais Ra.
Sayedena Anas Bin Malik Ra.
Sayedena Abu Harairah Ra.
Sayedena Abu Humayed Ra.
Sayedena Abu Usayyad Ra.
Sayedena Sahl Bin Sa’ad Ra.
Sayedena Muhammad Bin Muslama Ra.
Sayedena Abu Qatadah Ra.
Sayedena Abu Musha Ash’ari Ra.
Sayedena Jabir Bin Abdullah Ra.
Sayedena Umaid Laity Ra. Wagaira Se Bhi Ahadees Marwi Hai.
.
Sayedena Abdullah Ibne Umar Radi Allahu Anhu Ki Hadees Hasan Sahih Hai.
.
Aur Ahle Ilm Sahaba Keeram Yehi Mazhab Hai.
.
==>In Sahaba Keeram Mein Se
Sayedena Abdullah Ibne Umar Ra.
Sayedena Jabir Bin Abdullah Ra.
Sayedena Abu Hurairah Ra.
Sayedena Anas Bin Malik Ra.
Sayedena Abdullah Ibn Abbas Ra.
Sayedena Abdullah Ibn Zubair Radi Allahu Anhuma Azmayeen Bhi Shamil Hai
.
==>Fir Tabeyeen Mein Se
Imaam Hasan Basri Rh.
Imaam Ata Bin Abi Rawah Rh. (Imaam Abu Hanifah Rh. Ka Ustad)
Imaam Tawoosh Rh.
Imaam Mujahid Rh.
Imaam Nafe Rh.
Imaam Salim Bin Abdullah Rh.
Imaam Sayeed Bin Zubair Rh. Wagaira Ka Bhi Yehi Mazhab Hai.

==>Taba Tabeyeeno Mein Se
Imaam Malik Bin Anas Rh.
Imaam Muhammad Rh.
Imaam Awzayee Rh.
Imaam Sufiyan Bin Oyaina Rh.
Imaam Abdullah Bin Mubarak Rh. ( Imaam Abu Hanifa Rh. Ke Sagird Aur Imaam Imam Bukhari Rh. Ke Dada Ustad)
Imaam Shafee Rh.
Imaam Ahmad Ibne Hambal Rh.
Imaam Ish-haq Rahimahullah Azmayeen Ka Bhi Yehi Qaul Hai.
.
(Then Imaam Tirmidhi ra Kehte Hai)
.
Imaam Abdullah Bin Mubarak Rh. Kehte Hai “Rafulyadein Karnewale Logo Ki Dalil Ibne Umar Ra. Ki Hadees Jo Imaam Juhri Rh. Ne Unke Betey Salim bin Abdullah Rh. Se Rewayat Kiya Hai Wo Sabit Hai.
Aur Abdullah Ibne Mas’ud Ra. Ki Rafulyadein Na Karnewali Hadees Sabit Hi Nahi Hai ”
.
==>Fir Rafulyadein Na Karne Wali Abdullah Ibn Mas’ud Ra. Hadees 257 No Par Darz Karne Ke Bad Imam Tirmidhi Rh. Farmate Hai
.
“Aur Yehi Qaul Hai Ek Se Zyada Sahaba Ka Aur Taba Tabeyeen Aur Ahle Kufa Ka ”
…….. Thats All
Kisi Sahabi Ka Naam Nahi Liya….
Ab Mera Kehna Ye Hai Ki Dono Taraf Ke Dalilo Ko Tarazu Ke Do Palra Me Rakhein
Fir Insaf Se Fayesla Karein Kis Ka Dalil Wazni Hoga ?
Agar Ye Muqaddama Duniya Ke Court Mein Pesh Ki Jaye Tou Chand Minto Mein Fayesla Ho Jayega…
Allah In Andhe Muqallido Ko Haq Dekhne Ki Quwwat Ata Karein

0 comments:

Post a Comment