Tuesday, September 22, 2015

Imam Bukhari rahimaullah kaun the? pt 3 of 6

Imam Al Muslemen ‘kaddawat Al Mohaddin’ Amirul Hashen Hazrat Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Ismail Bukhari r.al Islam k Un Naami (Mainaaz) Saks me se hai Jenka Naam Islam Aur Quraan k Sath-Sath Dunya me Jenda Rahega …
**jab kutub he paida na ho tou ,kaas ker k hadees e Nabwi k tarteb dena Muskil ho jata.
**Imam Bukhari r.al ko Muhaddisen k jamat me ek khas mokaam hasel hai , Imam bukhari r.al wo sakas hai jinhone Rasualllah sallallahu alaihe Wasallam aur Sahaba raziallah hu anhum k hadees aur rewayaat jama karne k azim kaam ko Anzam keya , es kaam me unhone apne jendagi k asaayes ,aram doulat sab kuch kurbaan kar deya.
**Awwalin Karamat…
Fanzar ne tarikh Bukhara me aur laskai ne Sarah all sana baab Kara at auliya me nakal kiya hai…
Bachpan me imam BUKHARI r.al ki basarat jati rahi thi . Walda Mazda ke liye sadma kam na tha ke achanak ye sancha pesh aaya.(Imam bukhari nabina the yaani unke ankhe kharab the)
Ibtida ilaz se aajiz aa gaye.
Walda mohtaram apni yateem bache ki iss halat par raat din roti aur dua karti tehti.
Aakhir ek raat baad namaz isa mussale par hi rote rote aur dua karte hue aapko nind aa gai Khab me khalilullah hj ibrahim as tasrif laye aur basarat di ke allah ne tumhare rone aur dua karne se allah pak ne tumhare bache ki binai dur kardi hai.
Subah Hui to waqai apki aankhe durust thi..
Baad me allah pak ne aapko is kadar iss kadar raushni ata farmai ke “TARIKH
KABEER” ka pura amsuda aapne chandni raato me tehrir farmaya…
(yaani apne apne kitab ko raat k chandni me lekhe)
*17,000 AHADEES NABAWI KA KA HAAFIZ EK HUNHAR NAUJAWAN:
EK din muhaddis Imam BUKHARI r.al Imam dakhali r.al ke halka dars me sarik they to Imam dakhali ne nnek hadees ki sanad bayan karte waqt) : “SUFIYAN ANN ABI ZUBAIR ANN IBRAHIM FARMA DIYA”
Imam BUKHARI bole : Hazrat ye sanad iss tarah nahi hai kiyu ke Abu all zubair ne ibrahim se riwayat nahi ki hai..
Ek naw umr sagird ki uss giraft se muhaddis Bukhara chunk pade aur aapse mukhatib huye aapne ustad mohtaram ka pura adab malhuz rakhte huye badi aahistigi se
Aap ne farmaya ke: Agar aapke paas asal Saab ho to uske taraf murajaat farmalijiye …
Allama ne ghar ja kar asal kitab ko mulheja farmaya tho imam BUKHARI r.al kind giraft ko taslim farma liya .
Aur wapsi me ustad ne us sanad ke sahi ke bare me aapse sawal kiya ..
Imam BUKHARI ne barjasta jawab diya ke sahi sanad yun hai…
“SUFIYAN ANN ZUBAIR WAHUA IBNE AADI ANN IBRAHIM”
Iss waqt imam BUKHARI ki umr sirf 11 sal ki thi…
Unhi ayyam me aapne Bukhara ke 18 muhaddiseen se fuyuz hasil karte huye bestar jakhira ahadees mehfuz farma liya tha .
Imam waqi aur imam abdullah bin Mubarak ki kitabe apko barnok zaban yaad thi.
Allama dakhali ke saath waqiya majkura se Bukhara ke har Elmi markaz me aapka charcha hone laga …
Nawbat yanha tak ponhach gai ke bade bade ustaza kiram aapke huffaz aur jahanat ke kayal hone lage…
Allama bakendi farmate hai Jo ek mashur muhaddis hai Bukhara ke farmaya karte they ke mere halka dars me jab v muhammad bin ismail aa jate hai mujh par alam teher tari ho jata hai .
Ek din un ulema ke khidmat me ek bujrug Salim bin mujahid hajir huye aapne unse farmaya ke agar tum jara pehle aa jate to ek aisa hunhaar naujawan ko dekhte jise 17,000 ahdise hifz hai.
Salim bin mujahid ye sun kar hairat jada ho gaye aur hj imam BUKHARI r.al ki mulakat ke istiyak me nikle mulakat Hui to hj imam ne farmaya ke na sirf 17,000 balke unse v jyada hadeese mujhe yaad hai.
Balke silsila sanad halat Rizal se jaisa v sawal karenge jawab dunga hatta ke aqual e sahaba ra wa tabain rh ke bare me v batla sakta hoon ke wo kin kin ayat qurani wa ahadees NABAWI se makhuz hai (SubhanAllah)
(Mukaddama fathul baari)
TO BE CONTINUED……

0 comments:

Post a Comment