Tuesday, September 22, 2015

WADH’U KE AHKAAM (PART 2 0F 3)

TARTEEB :
1. Wuzu karne se pehle dil míen wuzu karne ki niyyat karei’n.
2. Wuzu ke shuru me ‘Bismillah’ zaroor padhni caahiey, kyou’nke Rasool Allah ne Sahaaba Ikraam se farmaya: ‘Bismillah’ keh kar wuzu karo.
( Nasai, Al Tahaara, Baab Al TasmiyyahInd Al Wuzu # 78 & Ibne Qhuzaima # 144 )
Imam Nawavi Rah. ne kaha ke iski sanad Jaiyyad hai. Wazeh rah eke wuzu ki ibteda ke waqt sirf ‘Bismillah’ kehna caahiey.
‘Ar Rahman nir Raheem’ ke alfaaz ka izaafa sunnat se saabit nahi. Nabi e Akram Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Jo shaqs wuzu ke shuru me Bismillah nahi kehta iska wuzu nahi.’
( Abu Dawood, Al Tahaara # P101 )
Haafiz Munzari waghaira ne showahid ki bina par Hasan kaha. Agar Bismillah bhool gai aur wuzu ke dauran yaad aai to fauran padhle wuzu dobarah karne ki zaroorat nahi kyou’nke bhool muaaf hai.
3. Umme Atiya se riwayat hai, ‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne Zainab ko ghusl dene waliyo’n se kaha daahini taraf se aur wuzu ke maqamo’n se inka ghusl shuru karo.’
( Sahih Bukhari # 167 & Sahih Muslim # 939)
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam juti pehenne, kanghee karne, tahaarat karne aur gharz tamaam kamo’n me daaee’n taraf se shuru karna pasand farmate.
( Sahih Bukhari: Al Wuzu 168 & Muslim, Al Tara # 268)
4. Aap ne dono’n haath pho’ncho’n tak 3 baar dhoei’n.
( Sahih Bukhari, Al Wuzu # 159 & Sahih Muslim, Al Tara # 226 )
5. Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya “ Wuzu mukammil karo aur haatho’n ko dhote waqt hatho’n ki ungliyo’n ke darmiyan qhalaal karo aur naak me ”
Pan chadhane me mubalegha karo illa ye ke tum rozadaar ho.
( Abu Dawood : Al Tahaara # 142 & Tirmizee, Al Tahaara # 38) Ise Imam Tirmizee, Imam Haakim V1 P 147&148 aur Imam Nawavi Rah ne saheeh kaha.
6. Aap ne ek chullu le kar aadhe se kulli ki aur adha naak me daala aur naak ko baei’n haath se jhaada, ye amal 3 dafa kiya.
( Sahih Bukhari, Al Wuzu # 191 & Baab al Wuzu minal Tur # 199 & Muslim, Al Tahaara # 235)
7. Phir Aap ne 3 baar mun’h dhoya.
(Sahih Bukhari, Al Wuzu # 185 & Sahih Muslim, Al Tara # 235)
8. Aap Daadhi ka Qhilaal karte the.
(Tirmizee, Al Tahaara # 31)
Imam Ibne Hibban aur Imam Ibne Qhuzaima ne Saheeh kaha.
9. Aap ne daaya’n haath kohni tak 3 baar dhoya phir baya’n haath kohni tak 3 baar dhoya.
(Sahih Bhukhari, Al Saum Baab Siwaak al Tab wa Ilyabas lil Saaem # 1934, Sahih Muslim # 226)
10. Aap ne sar ka masha kiya. Dono’n haath sarke agle hisse se shuru karke gaddi tak peeche le gae. Phir Peeche se aage isi jagah le aae jahaa’n se masah shuru kiya tha.
(Sahih Bukhari, Al Wuzu 185 & Sahih Muslim, Al Tahaara # 235)
Aap ne sar ka ek dafa masah kiya.
( Sahih Bukhari # 186 & Sahih Muslim # 235)
11. Aap Sallallahu Alai Wasallam ne kano’n ka masah kiya shaadat ki ungliya’n dono’n kano’n ke suraqho’n me daal kar kaano’nki pusht par anghoto’n ke saath masah kiya.
( Ibne Majja, Al Tahaara 439 – Tirmizee, Al Tara # 36 )
Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P77 # 148 ne Saheeh kaha.
12. Aap Sallallahu Alai Wasallam ne daya’n paao’n taqhno’n tak 3 baar dhoya aur baya’n paao’n bhi taqhno’n tak 3 baar dhoya.
( Sahih Bukhari, As Saum # 1934 & Sahih Muslim, Al Tahaara # 226 )
13. Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke jab wuzu karo to hatho’n aur pao’n ki ungliyo’n ka qhilal karo.
( Tirmizee, Al Tahaara # 39 & Ibne Majja, Al Tara # 447 )
Ise Imam Tirmizee ne Hasan kaha. Mastoord Bin Shaddad riwayat karte hain ke main ne Rasool Allah ko wuzu karte hue dekha ke
Aap Sallallahu Alai Wasallam apne pao’n ki ungliyo’n ka qhilaal haath ki choti ungli se kar rahe the.
(Abu Dawood, Al Tahaara # 147 & Tirmizee, Al Tahaara # 40)
Imaam Maalik ne Hasan kaha.
14. Hakam bin Sufiyan se riwayat hai ke Nabi e Akram jab peshab karke wuzu karte to apni sharamgaah par pani ka cheenta dete.
(Abu Dawood, Al Tahaara # 166 & Nasai, Al Tahaara # 135 )
15. Wuzu karte hue a’aza ked hone me tarteeb qaaem rakhna waajib hai aur wuzu ek hi waqt me kiya jaae a’aza ked hone me waqfa aur Taaqhair na ho.
16. Sayyadna Abdullah bin Umar Rad ne farmaya: ke Agar zaqhm par patti bandhi hui ho to wuzu karte waqt patti par masah karle aur ird gird ko dhole.
(Behaqhee # V1 # P 228) Imam Behaqhee ne ise Saheeh kaha.
TAMBEEHAT ::::::::::::——-
1. Kulli aur naak me paani dalne ke liye alag alag paani lene ka zikar jis hadees me hai ise
(Abu Dawood # 139)
Imam Nawavi Rah. aur Haafiz Ibne Hajar ne Zaeef kaha hai. Imaam Nawavi aur Imaam Ibne Qaiyyim farmate hain ke Rasool Allah ke
Wuzu ka tareeq 1 chullu se aadha paani mu’n me aur aadha naak meDaalna hai.
2. Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: kano’n ka ta’alluq sar se hai.
(Daarequtnee # V1 P98) ise Imam Ibne Jauzi waghaira ne Saheeh Kaha hai).
Is ka matlab ye hai ke kano’n ke liey nae paani ki zaroorat nahi. Kano’n ke masah ke liey nae paani lene waali riwayat ko Haafiz Ibne Hajar ne shaaz kaha hai.
3. Haafiz Ibne Qaiyyim Rah farmate hain ke (guddi ke neeche) garden Ke (alag) masah ke bare me qata’an koi saheeh hadees nahi.
Gardan ke masah ki riwayat ke muta’alliq Imaam Nawavi farmate hain: Ye Hadees bila Ittefa Zaeef hai’.
******************************************************************************
Rasulallah Sallallahu Alai Wasallam Sallallahu Alai wasallam ne farmaya ke :
Jo shaks poora wuzu kare aur fir yeh kahe..
أشهد أن لا إله إلا الله وحده لا شريك له وأن محمداً عبده ورسوله
“ Main Gawaahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi Ma’abood Barhaq Nahi. Wo Akela Hai. Iska Koi Shareek Nahi aur
Main Gawahi Deta Hu’n ke Muhammad Sallallahu Alai Wasallam Allah ke Band Aur Rasool Hain.’ To is ke liey jannat ke aathwa’n darwaze khol diey jaate hain ke jis se caahe daaqhil ho.
(Sahih Muslim, Al Tahaara # 234)
Abu Dawood (al Tahaara # 170) ki ek riwayat me is dua ko asmaan ki taraf nazar utha kar padhne ka zikar hai magar ye riwayat saheeh nahi. Is me Abu Aqeel kae chacha’zaad bhai majhool hai.
WUZU KE BA’AD YE DUA PADHEI’N :
سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُإِلَيْكَ
Aye Allah ! Tu Apni Tamaam Tar Ta’areefat ke Saath (Har Aib Se) Paak Hai Main Gawahi Deta Hu’n ke Tere Siwa Koi Saccha Ma’abood Nahi hai Main Tujh se Baqshish Maa’ngta Hu’n aur Tere Huzoor Tauba Karta Hu’n.
(Nasai A’amal al Yaum wa Laila # 1. Ise Imaam Haakim, Haafiz Zahabi aur Ibne Hajar ne Saheeh kaha hai. (Kisi majlis ke qhatme par bhi yehi dua padhi jaati hai.)
WUZU KI QHUD SAAQHTA DUAIE’N:
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki sunnat se wuzu ke shuru me (Bismillah) aur ba’ad me shadatain ka padhna saabit hai. Lekin ba’az log wuzu me har azu dhote waqt eke k dua padhte hain aur wo duae’n marwajja kutub e namaz me paai jaati hain. Waazeh ho ke ye duae’n sunnat paak aur Sahaaba Ikraam kea mal se saabit nahi hai. Allah Ta’ala ne jab apne Rasool Akram par deen mukammil kardiya to phir deeni aur sharai umoor me kami beshi karna kisi ummati ke liey hargiz jaaez nahi hai.
Imam Nawavi Rah farmate hain: ‘Har A’azu ke liey maqhsoos azkaar ke bare me Rasool Allah se koi cheez saabit nahi hai.’
WUZU KE DEEGAR MASAAEL:
1. Wuzu ke a’aza ka 2 ‐ 2 baar aur 1 ‐ 1 baar hona bhi aaya hai.
Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam aur Sahaaba Ikraam ka aksar a’amal 3 ‐ 3 baar dhone par raha hai. Ibne Hazam farmate hain ke sab ulama ka ittefaq hai ke a’aza ka 1 ‐ 1 baar dhona bhi kaafi hai.
2. Ek E’araabi ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki qhidmat me Haazir hokar wuzu ki kaifiyat daryaft ki to aapne ise a’aza ka 3 ‐ 3 baar dona sikhaya aur farmaya : Is tarha kaamil wuzu hai. Phir jo shaqs is (3 ‐ 3 baar dhone) par ziyada kare pas tehqheeq is ne (tark e sunnat ki bina par) bura kiya aur (masnoon had se tajawuz karke) ziyadati ki aur (Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki muqhalifat karke apni jaan par) zulm kiya.
( Abu Dawood, Al Tahaara # 135 & Nasai # 140)
Ise Imam Ibne Qhuzaima aur Imam Nawavi ne Saheeh, jabke Imam Hafiz Ibne Hajar ne Jaiyyad kaha.
3. Wuzu ke ba’az a’azaa 3 baar aur ba’az dobaar dhona bhi durust hai.
(Bukhari # 185 & Muslim # 235)
QHUSHK EDIYO’N (T: HEEL’S) KO A’AZAAB:
Sayyadna Abdullah bin Umar Rad. se riwayat hai ke ham Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke saath Makke se Madeene ki taraf laute. Raaste me hamei’n pan mila. Ham me se 1 jama’at ne namaz a’asr ke liey jild baazi mei’n wuzu kiya. Inki ediya’n qhushk thei’n inko pan nahi paho’nchta tha. Rasool Allah ne farmaya: ‘(Qhushk) ediyo’n ke liey aag se qharabi hai. Pas wuzu poora kiya karo.’
(Muslim, Al Tahaara # 241)
Is hadees se ma’aloom hua ke wuzu badi ehtiyaat se sa’nwar kar aur poora karna caahiey. A’aza ko qhoob acchi tarah aur 3 ‐ 3 baar dhona caahie take zarra barabar jagah bhi qhuskh na rahe. Ek Shaqs ne wuzu kiya aur apne qadm par naqhun ke baraabar jagah qhushk chodhdi. Nabi e Kareem ne ise dekha kar farmaya: Waapas jaa aur acchi tarha wuzu kar.
(Muslim, Al Tahaara # 243)
TAHIYYATUL WUZU SE JANNAT LAAZIM:
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :
‘Jo Shaqs wuzu kare aur qhoob sa’nwar kar accha wuzu kare. Phir khada hokar dil aur mu’nh se (zaahiri o baatini taur par) mutawajje hokar 2 raka’at (nafal) namaz adaa kare to iske liey jannat waajib hojati hai.’
( Sahih Muslim, Al Tahaara # 234 )
Sayyadna Abu Huraira Rad. bayan karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne namaz fajar ke waqt Bilal se farmaya: ‘Aye Bilal! Mere saamne apna wo a’amal bayan kar jo tune islam me kya aur jis par tujhe sawaab ki baho ziyada ummeed hai, kyou’nke main ne apnea age jannat me teri jutiyo’n ki awaaz suni hai. Bilal ne arz kiya: Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahot ziyada ummeed hai. Wo ye hai Ke main ne Raat ya Din main jab bhi wuzu kiya to is wuzu ke sath jis qadr nafil namaz mere muqaddar me thi zaroor padhi (ya’ani har wuzu ke ba’ad nawaafil padhe).’
( Sahih Bukhari, Al Tahajjud # 1149 & Sahih Muslim, Fazaael al Sahaaba Baab min Fazaail Bilaal # 2457 )
KOI SHAQS APNE SAATHI KO WUZU KARAE TO JAAEZ HAI:
Mugheera bin Shoba ek safar me Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke saath the, jab Aap Sallallahu Alai Wasallam wuzu karne lage to mughaira Aap par paani daalne lage Aap ne wuzu kiya
(Sahih Bukhari # 182 & Muslim # 274)
EK WUZU SE KAI NAMAZEI’N :
Sayyadna Bareeda Rad. se riwayat hai ke fatah makka ke din Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne kai namazei’n ek wuzu se padhei’n aur mauzo’n par masah bhi kiya.
Sayyadna Umar Farooq Rad. ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alai Wasallam ! Aaj ke din Aap ne wo kaam kiya jo Aap pehle nahi kiya karte the. Aap ne farmaya: ‘Aey Umar main ne aisa jaan bujh kar kya. (take logo’n ko ek wuzu se kai namazei’n padhne ka jawaz ma’aloom hojae)’
(Sahih Muslim: Al Tahaara # 277)
Ma’aloom hua ke har namaz ke liye wuzu farz nahi balke afzal hai.
DOODH PEENE SE KULLI KARNA :
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne doodh piya phir kulli ki aur farmaya is me chiknai hai.
(Sahih Bukhari, Al Wuzu Baab # 211 & Sahih Muslim, Al Haiz # 357).
Aapne bakri ka shaana khaya iske ba’ad namaz padhi aur dobara wuzu na kiya.
(Sahih Bukhari, Al Wuzu # 207 & Saheeh Musli, Al Haiz # 354)

Aap ne Sattu Khaya phir kulli karke namaz padhi aur wuzu nahi kiya.
(Sahih Bukhari, Al Wuzu # 209)

0 comments:

Post a Comment