Tuesday, September 22, 2015

Imam Bukari rahimaullah kaun the? pt 1 of 6

Name : IMAM Abu Abdullah Muhammad bin Ismaeel bin al-Mughirah al-Bukhari r.al
Paidaes : 13th Sawwal 194 hijri
Dead – Date : Imam Bukhari r.al ki wafaat 1 shawwal 256 hijri ko 62 saal ki umr me hue , chote sahar Samarkand jo Tazhikistan me Allah k raste me deen e hak ki mehnat karte hue Allah ko payare hue.
Enke sabse motaber kitab jenke Wajah se ye jaane jaate hai wo hai ”Bukhari Shareef (Al jamius Sahih) ”
Enke Aur kitabe h.
1.Al Aadaabul Mufrad
2. Juz – Raf-e-Yadain
3. Juz – Qiraat-Kalful-Imam
4. At-Taareekh-Al Kabeer – Al Awsat-As Sageer
5. Kitabul Ashribah
6. Kitabul Hibah
7. Mabsoot
8. Kitabul Ilal
9. Kitabul Wuhdaan
10. Af’aalul Ibaad
11. Al-Aadabul-Mufrad
Allah Rabbul alameen k pasandida deen , Islam ki bunyaad Quraan o hadees per hai Quraan e qareem Allah rabbalalameen k Qalam hai jo usne Apne Akhre Nabi Mohammad sallallahu alaihe wasallam per Nazil farmaye. Hadees’ Rasual e Akram sallallah hu alaihe wasallam k Qaul e faal aur takrer ko kahte hai ye v manjanib Allah h yaani hadees v wahi h, Hadees Quraan kareem ki Amli tafseer o tashreh hai , Rasuallah sallah hu alaihe wasallam k tarbeyat-yafta Sahaba r.a ne hadeeso ko yaad keya unko apne sagirdo aur aane waali naslo tak pahuchaya , Tabaeen ne es jakhere ko apne baad wale logo tak ba-hifazat pahuchaya es tarah deen k ye bunyaad hissa mahfuz ho gaya, baaz dusmanan Islam ne jab Apne taraf se Hadees ko garna (apne taraf se ezafa ya gatana) suru keya tou es fitna ko khatam karne k leye tabaeen wa tabe-tabaeen aur unke sagerdo yaani mohaddissen karam ne ki , Hadees jachne parakhne k usul -martab (law) keye jinke rousne me Sahi wa Zaif hadees me Tamiz (pahchanna) karna asaan ho gaya.
Muhaddis e karam r.al ne Hadees e Nabwi (s.a.w) ko kitabi surat me martab k jama keya’ Es tarah unhone Hadees Nabwi (s.a.w) ki khedmat k hak ada ker deya. Aur Azim khidmat k zareye Ummat e Musalma per Ahsaan farmaya. Muhaddis e karam r.al me ek Azim Naam ”Imam Muhammad bin Ismaeel Bukari r.al” k hai.
Imam Bukhari r.al 194-256 ne 3sre sade k suruwaat me sahi hadees e nabwi(s.a.w) ko jama karne k Azam keya es tarah Azeem kitab ”Bukhari Shareef (Al Sahih)” wajud me a gaye, Imam Bukhari r.al ne apne kitab ko Apne ustaad aur hum’umr (us waqt k naami,gerami,unche haiseyat,elm me jalil o qadr) Muahddiso ko dekhaya sabne kitab ki tareef ki. ”Al jamie al sahih”,”Bukhari sareef” k naam se mashur hue es kitab ko khaas o aam hasil hua, ulma e ummat ne mutafeek tur per ”Sahi Bukhari sareef” ko Al sahih Al kitab (Quraan paak) k baad kitabullah ‘ tasleem keya yaani Quraan kareem k baad sabse Sahi ketab.
Sahi Bukhari sareef ko makbuliyat k sahi sabut ye hai k tamaam muktab fekr ne apne madaris wa jamaat me es ketab ko apne nesaab’taalim me Samil keya, Sadeyo se Es kitab K padne-padane k selsela jaare h, Ahle-Elm ne ”Al jami Al Sahi lil Bukhari” , ”Sahi Bukhari Sreef” ki Arbi Zubaan me suruwaat lekhe jen k zeer es kitab ko samjhna Asaan hua. Leken Hindustaan o Pakistaan me Urdu Zubaan bolne Aur lekhne padne waale Musalmano ki khasi Abadi hai Es leye Ulma e Karam ne Mahsus Keya K Es Kitab e Azeem Ko Urdu Me Muntakil (tanslat) keya jaye ta k Urdu Janne Wale Bhaio ki Rahnumaye ho sake, jamaat e Ahle-hadees k Ulma e karam ne es Janib sabse pahle Tawajjo farmaye, Imam Nawab Sadek khan r.al ki tahrek o tayed se Moulana Wahiddul Zama Heder Abadi ne Taiser Al baari k Naam ”Sahih Bukhari Sareef” k Tarzuma wa Tashreh Urdu Zubaan me ki. Unke baad Jamaat Ahle-hadees k Naamud Alim e Deen Moulana Mohammad Daoodraza r.al ne Nehayat Asaani Aur Selsele Zubaan me Sahih Al Bukhari Sareef k Tarzuma wa Tashreh Ker k Khuda se Shaah keya , Moulana Raza sb r.al k Tarzum wa Tashreh Bahut Makbul hua , Moulana k Wafaat k Baad unke farzand janab Nazeer Ahmed Razi sb ki Shaah (lekha) karte rahe,mager Afsos k kaye saal kabal Unhone v es ki Ashaat k silsila moukuf kar deya.
TO BE CONTINUED…

0 comments:

Post a Comment