Tuesday, September 22, 2015

Imam Bukari rahimaullah kaun the? pt 4 of 6

Imam Al Muslemen ‘kaddawat Al Mohaddin’ Amirul Hashen Hazrat Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Ismail Bukhari r.al Islam k Un Naami (Mainaaz) Saks me se hai Jenka Naam Islam Aur Quraan k Sath-Sath Dunya me Jenda Rahega …
**jab kutub he paida na ho tou ,kaas ker k hadees e Nabwi k tarteb dena Muskil ho jata.
**Imam Bukhari r.al ko Muhaddisen k jamat me ek khas mokaam hasel hai , Imam bukhari r.al wo sakas hai jinhone Rasualllah sallallahu alaihe Wasallam aur Sahaba raziallah hu anhum k hadees aur rewayaat jama karne k azim kaam ko Anzam keya , es kaam me unhone apne jendagi k asaayes ,aram doulat sab kuch kurbaan kar deya.
***TALAB HADEES KE LIYE BALAD ISLAMIYA KI RAHALAT***
Imam BUKHARI r.al 16 saal ki umr 210 hijri me apni walda mohtaram aur bhai
Ahmad ke saath safar hajj par rawana huye aur makkatul mukarama ponhche apne
wanna bade bade muhaddison se mulakat ki aur hajj ke baad walda mohtaram se
ijajat se tahsil uloom hadees ke liye makka me hi sakunat ikhtiyar ki uss waqt makka sarif me ke arbab uloom fazl me adbulah bin yazeed , Abu bakr Abdullah bin zubair , Abu lulaid Ahmad bin all razki aur Allama humaidi wagera mumtaaz sakhsiyo ke Malik they.
Aapne pure 2 saal makka mukarama me rehkar jahiri wa batini kamalat hasil farayi aur 212 hijri me madina munawarah ka safar ikhtiyar kiya aur wanha k mashur Muhaddis ikram mutraf bin abdullah ibrahim bin munjar , Abu sabit muhammad bin Ubedullah, ibrahim bin hamzah wagerah wagerah bujurgon se aktab faiz farmaya .
Bilad hajjaz me apki akamat 6 sal rahi. Fir aapne bushra ka rukh farmaya uske baad kufa ka kasd kiya,
Bagdad chunke Abbasi hukumat ka paya takht raha hai isliye who ilm o uloom o fano ka markaz bangaya tha.
Bade bade akabir asr Bagdad me jama they isiliye imam BUKHARI ne bar-bar Bagdad ka Safar kiya wanha ke masaekh hadees me hj imam Ahmad bin Hambal r.al ka Nam Naomi khususiyat se kabil zikr hai.
8 wi martaba jab imam BUKHARI rh Bagdad se akhri safar karne lage to imam Ahmad bin Hambal r.al ne bade par dard lehje me farmaya kiya aap logo ko aur Bagdad k us jamana ko aur yamha ke uloom o fan ke marakiz ko chord kar kharasan chale jayenge ??
Bukhara ke ibtidai daur me jab ke wanha ka hakim aapse naraz ho gaya tha aap hj imam Ahmad rh ke us makula ko bohot yaad farmaya karte they.
Imam BUKHARI r.al khud farmate hai ke jab meri umr 18 saal ki thi to maine kitab kajaya e sahaba wa tabaeen nami tasnif ki fir Maine madina munawara me roza manurah ke pass baith kar tarikh tasnif ki jise me chandni rato me likha karta tha Fir Maine saam aur misr aur jazira aur Bagdad aur bushra ka safar kiya .
Hasad bin ismail apke ham asr kehte hai ke aap busra me hamare saath hazir e dars hua karte they mahaj samahat farmate aur kuch na likhte akhir 16 din usi tarah gujar gaya ek din Maine apko na likhne par malamat ki to aap bole ke us arsa me Jo kuch tumne likha hai use hajir Karo aur mujhse unsab ko ba zaban sunlo ..
Chunanche 15,000 se jeyada(Hadees) thi jinko imam BUKHARI r.al ne sirf apni yaad das se iss ahtemam se sunaya ke bohot se mukamat par hamko apni kitab at me sahi karne ka mauka Mila..(SubhanAllah)
HAJRAT IMAM BUKHARI r.al ke safar ke silsile me maru, balah, harat, nesapur, raye wagera door daraz sehro ke naam aye hain.
Aap ne talab hadees ke liye takriban tamam hi islami mamalik ka safar farmaya .
Jafar bin muhammad bin khattan kehte hai ke Maine Imam BUKHARI se suna hai ke who farmate they ke Maine 1000 se jyada ustaza se ahadees suni hai aur mere pass jis kadar v ahadees hai un ki sanaden aur riwayah ke jaa’me ahwal mujhe mehfuz hai…
*Imam e muhaddis Muhammad bin ismail all BUKHARI r.al Bagdad me:
Imam BUKHARI r.al ki sohrat o ilmi kubuliyat ka jamana hai mustaklimin wa muhaddiseen wa fuqah wa mufassireen itrafe ilm se simat simat kar Bagdad me jama ho chuke they us daur me hj Imam BUKHARI r.al Bagdad tasrif laye puri Bagdad apki sohrat se gunj utha har masjid har madarsa har khanka me apka jehen o hifz wa jahanat wa maharat hadees ka charcha hone laga aakhir darul khulfa ke baaz muhaddiseen ne aapki imtihan ki ek tarkib sochi wo ye k ahadees Nawabi me se har hadees ki sanad dusri hadees ki matan me miladi aur unko 10 admiyo par bara bar(10-10 Hadees) taksim kardiya aur ab apke Imtihan ka faisla kiya gaya chunanche mukarara waqt par Sara Sahar umad aaya un 10 admiyo ne numbar dar ikhtilat ki huyi ahadees imam sahab ke samne padhi aur apse istaswab caha magar aap har Saks ko har hadees par yahi farmate rahe LA ARFA (main iss hadees ko nahi janta)….
Us tarah jab 100 hadees khatam ho gai to logo me chamgoyia suru ho gai kisi ka khayal tha ke imam hakikat gala ko pehchan chuke hai aur kisi ka khayal tha ke apne muhaddiseen Bagdad k samne sir dal di hai….
Imam BUKHARI r.al usi waqt khade huye pehle sail ki taraf mutawajjah huye aur farmaya tumne pehli hadees jis sanad ke saath bayan ki thi who galat hai uski asal sanad ye hai usi tarah apne dusro askhak ki sunai savi hadees ko bilkul sahi karke bayan kiya uss khuddar hafiz wa maharat hadees fan ko dekh kar ahle Bagdad hairat zada ho gae aur bill ittefak taslim karliya gaya ke fan hadees me asr hazir me apka koi sani nahi hai…
*ILM ASNAAD ME IMAM BUKHARI RH KI MAHARAT:
Mashur maqula hai asnaad ka ilm v DINI uloom me dakhil hai.
Agar asnad na hoti to Jo sakhs Jo cahta keh dalta isiliye muhaddis kamil ke liye jaruri hai k who matun ahadees ke sath tamam riwayah hadees k bare me unki paidais aur wafat ke auqat ki khabar rakhta ho unki behmi mulakat ki sunen yaad hon.
Unke lakab aur kuniyat yaad hon.
Aur jumla rawiyon ke alfaz hadees v puri tarah jabt hon.
Imam BUKHARI r.al ess fann me maharat tama rakhte they.
Hafiz Ahmad bin hamdon ka bayan hai ke main Us maan bin Abu sayed bin murwan ke janaze me hajir hua imam BUKHARI v tasrif laye huye they uss mauka par imam muhammad bin yahya zehli ne Imam BUKHARI r.al se asmaye rawiyat aur Alal-Ahadees ke bare me kuch pucha Imam BUKHARI ne iss kadar bar jastagi se jawabat Inayat farmaya jaise koi KUL HU ALLAH HU AHAD tilawat karta ho.
Abu Ahmad amsan bayan karte hai ke me Imam BUKHARI ke majlis me hajir hua wanha Imam muslim tasrif laye aur ek moalik hadees ka darmiyani hissa suna kar pucha ke ye hadees aapke pass ho to mutassil farma dijiye..
Hadees ke alfaz ye hain..
“UBEDULLAH BIN AMR ANN ABI JUBAIR ANN ZABIR KALA BASNA RASULULLAH HI SAW WA MANA ABU UBAIDA AL HADEES”
Imam BUKHARI r.al usi waqt hadees ko mutassil asnad padh kar suna diya ke
” HADA SANA IBNE ABI OYES KALA HADA SANA AKHI ANN SULEMAN BIN BILAL ANN UBEDULLAH ALA AKHRAL HADEES”
Es majlis k kissa hai k kisi ne ye Hadees masanad padhe:
”HJAAJ BIN MOHAMMAD AN BIN JARIJ AN MUSHA BIN AKBAT AN SAHAEL IBN ABI SAHLEH AN ABI AN ABI HURAIRA AN AL-NABI SALLAHU ALAIHE WASALLAM……..”
Sunker Imam Muslim bole k es Hadees ki esse unche sanad saari Dunya me nahi hai, Imam BUKHARI r.al ne farmaya k teak h mager es ki sanad ma’alool hai, ye soon ker Imam Muslim r.al hayrat me rah gaye Aur Faramane lage k ellat se agahi Faramaye , Hazrat Imam Bukhari r.al ne faramaya k rahne dejye jisper ALLAH ne parda daal rakaha hai , Apko v parda daalna chaye , Mager Imam Muslim ne Esraar farmaya tou Aap ne farmaya , Accha suno gair-ma’alool sanad ye hai:
”HADASANA MUSA BIN ISMAEEL HADASANA WA HAIB HADASANA MUSHA BIN AKBAT AN AAUN BIN ABDULLAH KALA KALA RASULLAH SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM….”
HADEES ki ellat ki silsele me Hazrat Imam ne batlaya k Musha bin Ukba ki koi hadees sahel se marfu nahi hai,fer uske leye Hazrat Imam ne sabut pess farmaya. Jise sab hazren majlis Ulmaa e hadees ne Tasleem keya.
(fatulbaari)
**JARAH WA INTEKAD KE LIYE QURANI HIDAYAT:
Muhaddiseen kiram ne riwyah hadees ki jirah wa intekad ka tarika Quran majid ki ayat “YA AYUHAL LAZINA AMANU AJA JA AKUM FASIK BANABA FATABAINU”
(Aye iman walo agar tumhare pass koi fasik insan kuch khabar lekar aaye to uski tehkik karliya karo)
Aur sahaba r.a ke tarje amal se akhz kiya tha kiyo ke ek giroh hadees gadhne walo ka paida ho chuka tha abdul Kareem wajah mashur hai jis ne 4000 hadees wajah kiye aur khawariz aur dawafiz me mauzuat ka ek ambar maujud ho raha tha un halat me jarah wa intekad ka dayera hota chala gaya aisi jirah wa tadil gibat nahi hai jis ke liye quran ne mana kiya hai .
Iss bare me v Imam BUKHARI r.al me badi ahtiyat se kam liya hai aur aam istilah muhaddiseen ki tarah waja Gazab ke alfaz ke jagah “all matruk”, “munkarul hadees wagera ke alfaz istemal farmate they.
Isi liye aapka irsad hai jis rawi ke taluk me lafz munkarul hadees istemal karlu us se riwat karna halal nahi hai.
Ye sab ahtiyat isliye hai aap kham o khan kisi musalman ki gibat k gunah me mubtila na ho jayen.
Aapke ek sagird ne kaha k aap k tarikh k bare me log gibat ka iljam lagate hain farmaya k tarikh me hamne sirf mutakdimin ke aqwal nakal kiye hai hamne apni taraf se isme kuch nahi likha hai…
**WAJAH TALIF IJMA SAHI BUKHARI:
Hafiz ibne hazr r.al ne mukaddama fathul bari me tafsilan likha hai ke rasul saw aur sahaba ra wa tabaeen ke pakija jamano me ahadees ki jama o tartib ka silsila kama hakkana tha.
Ek to usliye k suru jamana me uski mumaniyat thi jaisa ki sahi muslim ki riwauat se sabit hai.
Mahaj uss dar se k kanhi quran majid aur ahadees ke maton bahmi taur par gad mad na ho jaye.
Dusri ye ke un logo ke hafiza wasih they jahan saaf they kitabat se jyada unko apne hafize par aitemad tha aur aksar log fann kitabat se waqif na they. Iska matlab ye nahi hai k kitab hadees ka silsila jamane risalat me bilkul na tha.
Fir tabain ki aakhri jamane me ahadees ki tartib wa tadwib suru Hui khalifa khams hj umar bin abdul aziz r.al ne hadees ko ek fann ke haisiyat se jama karane ka ahtemam kiya tarikh me raabe bin sabeh aur sayed bin urwah wagera wagera HAJRAT ke Nam ate hain jisne iss fann me qalam uthaya tha ab who daur ho chala tha jisme khawariz aur rawafiz digar ahle biddat ne manghadat ahadees ka ek khatarnak silsila suru kardiya tha
Un halat ke pes e nazar tabka salsa k log uthe aur unhone ahkam ko jama kiya .
HAJRAT imam Malik ne motta tasnif ki jisme ahle hajjaz ki kawi riwayaten jama ki.
Aur akwale sahaba fatawa tabain ko v sarik kiya .
Abu muhammad abdul Malik bin abdul aziz bin jariz ne makkatul mukarama me,
aur Abu umru abdur rahman bin umr auzai ne Sam me ,
aur Abdullah sufiyan bin sayed suri ne kufa me,
aur Abu salma jamad bin salma dinar ne busra me hadees ki jama o tartib wa talif par tawajha farmai unke baad bohot se log jama ahadees ki khidmat anjam di aur dusri sadi ki aakhri me bohot si musnidaat wajud pajir ho gai jaise musnad Ahmad bin hambal , musnad imam ishak bin rahwiya , musnad imam us man bin abi sayeba , musnad imam Abu bakr bin abi sayeba wagerahwagerah.
Un halat me sayadul muhaddiseen Imamul aayimah Hazrat Imam BUKHARI r.al ka daur aaya aapne unn jama taalif ko dekha , unko riwayat kiya unse uloom NABAWI ka kafi maja uthaya unhone dekha ke un kitabo me sahi aur hasan jaeef sab kisam ki hadeese maujud hai..
TO BE CONTINUED……

0 comments:

Post a Comment